Sunday, October 9, 2011

TAZIYADARI

TAAZIYA DAARI KO ROKNE WALA GAREEB NAWAZ KA DUSHMAN HAI..

BADE AFSOS KI BAAT HAI KI AAJ KAL KE JAALI JUTHE APNE AAP KO SUNNI KEHNE WALE MUNAFIK LOG TAAZIYA DARI SE MANA KARTE HAI MAGAR HAQ YE HAI AUR TAARIKH GAWAH HAI KE,

SHAHE AJMER HAZRAT MOINUDDIN HASAN CHISHTI GAREEB NAWAZ NE KHUD TAAZIYA BANAYA AUR UTHAYA AAJ TAQ AJMER SHARIF ME TAAZIYA DAARI HOTI HAI,

DARGAAH SHARIF ME HI TAAZIYA BANTA HAI,

HAZRAT MEHBUB E ILAHI NIZAMUDDIN AULIYA SARKAAR NE TAAZIYA BANAYA AUR UTHAYA,

DATA GANJ BAKSH NE TAAZIYA BANAYA AUR UTHAYA,

LAAL SHEHBAAZ QALANDAR NE TAAZIYA BANAYA AUR UTHAYA,

BU ALI SHAH QALANDAR NE TAAZIYA BANAYA AUR UTHAYA,

WARIS PAK HAZRAT WARIS ALI SHAH NE TAAZIYA BANAYA AUR UTHAYA,

SAABIR PAAK QALIYAR KE RAJA NE TAAZIYA BANAYA AUR UTHAYA,

HAR AULIYA NE , ALLAH KE KHAS BANDO NE HUSAIN ALAYHISSALAAM KA TAZIYA BANAYA AUR UTHAYA,

SAB KI SAWANA E HAYAT ME LIKHA HAI KI WO MOHARRAM ME 10 DIN NANGE PAIR AUR KALE LIBAS ME REHTE,

HUSAIN ALAYHISSALAAM KA GAM SHIO KI JAAGIR NAHI,

SHIYYAT KE FATWE SE MAT DARO,

ZARA SOCHO KE ASL ISLAM GAREEB NAWAZ KA HAI YA AAJ KE MULLO KA??

HA CHUNACE KUCH SARAYAT HAI TAZIYADARI KI JIS KO MAD E NAZAR RAKH KE TAZIYA DARI KAREY JISAY TAZIYA MAIN NOBAT NAGARA DHOL NA BAJAYA JAYE KYU KI DHOL NAGARA ISLAM MAIN HARAM HAI AUR EMAM HUSSAIN AS KE QAFLE MAIN SAY KISAY NE DOR AAN E JUNG NOBAT NAHI BAJAYE TEY ZARA SAL YHE YAZEED LOGO KA TARIKA HAI AUR KHOON KA MATAM WAGHRA NA KAREY TAZIYA KE JOLOOS MAIN JAHA TAK HO SAKEY TO MA BEHNO KO PARDA KAR KE AANEY KA HUKAM DE YA BURKHA LAGA YE TAKI BE PARD GE NA HO AUR TAZIYA MAIN NIYAZ FATEHA MANKHBAT E EMAM HUSSAIN AS NAAT AUR WAKIYA E KARBLA SUNAYE KAREY IN SAB KAMO KE SAATH TAZIYA DARI KAREY AUR SAB SE HEMA KAAM YHE KI TAZIYA BANAYE TO WO SABHI E ROZA E EMAM HUSSAIN HO YHE KAHSS KHYAL RAHEY MATLAB KARBLA MAIN JO DARGAH E EMAM HUSSAIN HAI US KA HI NAKHSAH BANAYA JAYE JO BAIS E BARKAT HAI

CHAND WAKIYAT TAZIYA KE BUZURGAN E DEEN KE ZINDAGE MAIN

Ala hazrat azimul barkat shahnawaz be niyaz (r.a) breily shrif ki taziyadari sarkar sha be nyaz barelvi ne farmaya ke agar tum log taziya shrif bnate ho to me mana nahi karunga, bulki mujse jaha tak hoga taziya shrif ka adab karunga aur dil se ahetaram karunga aur aap pabandi se uski ziyarta karte the

ek bar kisi molvi saheb ne aala hazrat shah niyaz barelvi ko aapke mamul pe aetraz kiya. Aapko jalal aa gya. Chunache aapne uski gardan pakdkar taziye ki taraf ishara karte huye ek khas jajbe ke sath farmaya, molvi dekh! Kya nazar aata he? Molvi saheb dekhte hi behosh hoker gir pade, der tak isi halat me rahe, hosh aane pe rifat tari ho gayi. Jab halat durast huyi to logo ke daryaft karne pe btaya, muje hasnein karimen ki ziyart nasib huyi. Jisme muj par behoshi tari ho gayi thi. Me bayan nahi kar sakta mene kya nazara dekha? Uske bad unhone apne fasik khyal se taubah kar li.

_______________________________________________________________________________________

karamate nizamiya me likha he ki,hazrat shah nawaz be niyaz 10 muhharam ki rat ko 5-7 taziyo ki ziyarat ke liye tashrif le jate the. Aakhir umar me ek bar kamzori ka galba tha chalne ki takat nahi thi. Aap mustgark baythe huye the. Surate noorani hazrat bibi fatmuz zahera (r.a) zahir huyi aur farmaya, miya! Aaj hamare bachcho ki ziyarat ko na uthoge? Aapme rift tari ho gayi. Khudam ko hukm diya ki humko le chlo. Arz kiya ke char pai par ya palki par le chle? Farmaya nahi paidal le chlo. Aapne 5 taziya shrif ki ziyarat ki,

Sayedna varise pak aalm panah rahmtullah alaihe deva shrif khud apne hatho se taziya shrif bnate the. Sath sath taziyo ke julus me bhi sirkat farmate the aur taziya shrif ko kandha lagate the. Aur badi akidat ke sath taziye ka adab aur aehtram karte the. Ekbar ek shaheb ne arz kiya, sarkar !kuchh log taziyo ko biddat kahete he, to sarkare varise pakne jalal me farmaya, ye sab jaghde he, log fateha durood,langer,khairat, band karana chahte he. Jo kayamat tak band nahi hoga.

sirf aaj hi nahi bulki jamane me bhi khankaho se talluk aanevale sufiya e kiram. Auliya e kiram buzurgane din aur muhhibane ahle bait taziyadari ko jaiz durast aur baise husule faizane barkat mante jante rahe he. Isliye aaj bhi ajmer shrif,lahour, baheraich shrif, delhi shrif,kaliyar shrif,kichhochha shrif,bareily shrif,deva shrif jo ruhaniyat ke markaz he. Vaha khankah taziyo se sajayi jati he. Adbo ahetram ka dars diya jata he.

Allah tala ne agar akle salim di he to is kitab me btaye gaye buzurgane din ke akalvalo ko padhker abhi tak kiye huye tauhin ke alfaz ke liye ale rasul ki muhhabat me taziye ka adbo aehtram se didar karke apne kiye ki taubah karke bargahe imame aali makam imam hussain alahislam me duva mange. DUA KA TALAB GAAR MUHMEED ANWAR KHAN .baroda gujarat .

8 comments:

  1. Subhanallah Bhai. Allah Jaza e Khair ata kare. Agar AAp kuchh books ke refrence bhi de denge to badi meherbani hogi. ghausepak@gmail.com

    ReplyDelete
    Replies
    1. http://taziyadari.blogspot.in/2015/09/taziya-jaiz-hai.html .. aap ko sab refrence or hawale yaha mil jay ge

      Delete
  2. Hazrat apne jo likha hai iska hawala kitab ka naam mujhe mail kare main fir manuga.

    ReplyDelete
    Replies
    1. http://taziyadari.blogspot.in/2015/09/taziya-jaiz-hai.html .. aap ko sab refrence or hawale yaha mil jay ge

      Delete
    2. http://taziyadari.blogspot.in/2015/09/taziya-jaiz-hai.html .. aap ko sab refrence or hawale yaha mil jay ge

      Delete
  3. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
    Replies
    1. "taziyadari jaiz hai hindi book" on http/internete archive.org. so please downlaod -dr.azam beg qadri 09897626182

      Delete
  4. "taziyadari jaiz hai hindi book" quran va hadees ki roshni mein aur soofiyakiram va auliyakiram va ulmaekiram va muhaddeseen va mufassereen ke qaul va faial ke istadlaal se sabit hai ki taziyadari jaiz va sawabe darain hai so please downlaod my book "taziyadari jaiz hai" -dr.azam beg qadri -09897626182

    ReplyDelete